Music Director, Singer & Lyricist : Piyush Mishra
Aarambh hai prachand
Bolein mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
[ Aarambh hai prachand
Bolein mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan baan shaan
Ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do ] - 2 times
Aarambh Hai Prachand....
[man kare so pran de
Jo man kares so pran le
Wo wahi to ek sarv shaktimaan hai ] - 2
Krishn Ki Pukaar Hai Ye
Bhaagwat ka saar hai
Ki yuddh hi to veer ka pramaan hai
Kaurawon ki bheed ho
Ya paandavon ka need ho
Jo lad sakaa hai wohi To mahaan hai
Jeet ki hawas nahi
Kisi pe koi vash nahi
Kya zindagi hai thokaron pe maar do
Maut anth hai nahi
To maut se bhi kyun darein
Ye jaake aasmaano mein dahaad do!
Aarambh hai prachand
Bolein mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan baan shaan
Yaki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do
Aarambh Hai Prachand....
[Wo dayaa ka bhaav yaki
Shaurya ka chunaav yaki
Haar ka wo ghaav tum ye soch lo ] - 2
Yaki bhoore bhaal par
Jalaa rahe vijay ka laal
Laal ye gulaal tum ye soch lo
Rang kesari ho ya mridang kesari ho
Ya ki kesari ho taal tum ye soch lo
Jis kavi ki kalpana mein
Zindagi ho prem geet
Us kavi ko aaj tum nakaar do
Bheegti maso mein aaj
Phoolti ragon mein aaj
Aag ki lapat ka tum bhaghaar do
Aarambh hai prachand
Bolein mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do
Aan baan shaan
Yaki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do
[Aarambh hai prachand... ] - 3 times
| Yaara Maula< Prev | Next >Aisi Sazaa |
|---|
| Comments |
|
|
|||||||||||
|
|||||||||||
|
|||||||||||
|
|||||||||||
|
|||||||||||



