Music: Sanjay Pathak, Nishad
Singers : Shaan , Sunidhi Chauhan
Lyrics :
Shaan: kyun ho gaya deewana main tumhara
main nahi jaanta main nahi jaanta
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanta main nahi jaanta
kyun hothon pe mere hi zikr tera hi aane laga hai
kyun aankho mein mere tera hi aks chhaane laga hai
zikr aane laga hai aks chhaane laga hai
Sunidhi: kyun dil ko tu lagta hai sabse pyaara
main nahi jaanti main nahi jaanti
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanti main nahi jaanti
Shaan: ye zindagi itni haseen pehle kabhi lagi hi nahi
Sunidhi: tum pyar ban ke jab se mile ho
tab se meherbaan hui hai khushi
kyun soun bhi to muskuraaye chehra mera
kyun jaagun bhi to khwaabon ka ho pehra tera
chehra mera pehra tera
Shaan: kyun khushnuma sang tere lage nazara
main nahi jaanta main nahi jaanta
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanta main nahi jaanta
Sunidhi: haan kehti hoon mein kha ke kasam
dil se tujhe chaaha sanam
Shaan: na hona juda na hona khafa
chaahe koi bhi tum karna sitam
kyun paane se khone ka dar ab sataaye mujhe
kabhi mujhse hi teri nazar na churaaye tujhe
ab sataaye mujhe na churaaye tujhe
Sunidhi: kyun main lagun maajhi to tu kinaara
main nahi jaanti main nahi jaanti
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanti main nahi jaanti
Shaan: kyun ho gaya deewana main tumhara
main nahi jaanta main nahi jaanta
Sunidhi: kyun dil ko tu lagta hai sabse pyaara
main nahi jaanti main nahi jaanti
Shaan: main nahi jaanta main nahi jaanta
Sunidhi: main nahi jaanti main nahi jaanti
| Mujhe Teri Zaroorat Hai Lyrics< Prev | Next >Ab Tere Bin Hum Jee Lenge Lyrics |
|---|



